Hamare bakht ka likha badal bhi sakta hai
Woh Khawab hai to haqiqat mein dhal bhi sakta hai
Mein jis ki zad peh zamane ko le kay baitha hon
Woh teer meri Kaman se nikal bhi sakta hai
Mein is ke waste ho jaon be khabar kaise
Tumhari Aankh ka jadoo hai, Chal bhi sakta hai
Buhat azeez hain yadein, teri magar ik din
Yeh zehar mere badan ko Nigal bhi sakta hai
Ruki hain Aankh mein hairat hare zamane ki
Yeh aisa pal hai jo sadyon peh tal bhi sakta hai
Chahar simt Sitare safar mein rehte hain
Madar e shab ka Moqaddar badal bhi sakta hai
So kuch malal nahi us ki sard mehri ka
Keh barf ban ke woh pathar pighal bhi sakta hai
Hawa ki koi bhi sazish bujha nahi sakti
Chiragh jalne peh aaye to jal bhi sakta hai...!!

**:♥♥muje tum yad ate ho♥♥:**
No comments:
Post a Comment