Abhi Kuch Aur Karishme Ghazal Ke Dekhte Hain
Aiye Yaar Aab Zara Lehja Badal Ke Dekhte Hain
Judaaia’n Toh Muqaadar Hain Phir Bhi Jaan-e-Safar

Kuch Aur Duur Zara Saath Chal Ke Dekhte Hain
Raah-e-Wafaa Mein Hareef-e-Khiraam Koi Toh Ho
Soh Apne Aap Se Aage Nikal Ke Dekhte Hain
Tuu Saamne Hai Toh Phir Kyoon Yakeen Nahin Aata
Yeh Baar Baar Joh Aankhon Ko Mal Ke Dekhte Hain
Yeh Kaun Log Hain Moujood Teri Mehfil Mein
Joh Laalacho’n Se Tujhe Aur Mujh Ko Jal Ke Dekhte Hain
Yeh Qarb Kya Hai Ke Yak Jaan Hue Na Duur Hue
Hazaar Aik Hi Qaalib Mein Dhal Ke Dekhte Hain
Na Tujh Ko Maat Hui Hai Na Mujh Ko Maat Hui
Soh Aab Ke Dono Hi Chaale’n Badal Ke Dekhte Hain
Yeh Kaun Hai Ser-e-Saahil Ke Doobne Waale
Samandaro’n Ki Taho’n Se Ucchal Ke Dekhte Hain
Abhi Talak Toh Na Kundan Hue Na Raakh Hue
Hum Apni Aag Mein Har Roz Jal Ke Dekhte Hain
Bohat Dino’n Se Nahin Hai Kuch Uss Ki Khair Khabar
Chalo Yaar Ko Aiye Yaar Chal Ke Dekhte Hain....!!

Hanadi Gulzar
No comments:
Post a Comment