Hai wohi aasman zameen wohi
Maah o anjum ussi tarah roshan
Kehkashaan ab bhi muskuraati hai
Phool kaleyaan mehak rahi hain yonhi
Baad muddat ke saray pardesi
Apne apne gharon ko aaye hain
Har taraf rang-o-boo ka mela hai
Aur tanha mein apne kamre mein
Kab se bethi hoon aur soch rahi hoon
Jaanay kya baat hai ke ghar mein mere
Jo guzashta baras thee raunaq
Ab woh kaheen bhi nazar nahee aati
Hai fiza mein ek ajeeb sa sannatta
Haan faqat ek tere jaanay se
Aisa mehsoos ho raha hai mujhe
Rutt khushi ki har taraf aai hai
Sirf chhote se mere aangan mein
Eid ab ke baras nahee aai...!!
No comments:
Post a Comment