MUJAY TUM BOHT YAD AATE HO


23 Jul 2014

Har bar ki tarah is bar bhi ansoo bahaon ga

Har bar ki tarah is bar bhi ansoo bahaon ga 
suno logo main eid nahi manao ga 

sahu ga gham akalee chupke chupke
zakham apne kesi ko nahi dekhao ga
suno logo main eid nahi manao ga

lagi ge mehindi hathon per
urti phiren gi titliyaan 
main ponch ke ankeen
chup chap se so jao ga
suno logo main eid nahi manao ga

jes haal main hon main bohut khush hal hon ho main 
zamane bhar se acha hon
aag kahein na lagaon ga 
suno logo main eid nahi manao ga...!!


(♥♥''Muje Tum Yad Ate''♥♥


B♥♥♥♥♥B

21 Jul 2014

Eid ke Chand ko dekhe na koi mere seva

Eid ke Chand ko dekhe na koi mere seva
Is ke didar ko aik Saal Guzara mein ne..!!


(♥♥''Muje Tum Yad Ate''♥♥


B♥♥♥♥♥B

Main Ne Chaha Tujhy Eid Pe Kuch Peish Karon

Main Ne Chaha Tujhy Eid Pe Kuch Peish Karon
Jis Main Ehsas K Sub Rang Hon Roshan Roshan


Jis Main Ankhun K Trashy Huway Mooti Laakhon
Jis Main Shamil Hon Mere Qalab Ki Darkhan Darkhan..!!


(♥♥''Muje Tum Yad Ate''♥♥


B♥♥♥♥♥B

Hata kar zulf chehry se na chatt par sham ko jana..

Hata kar zulf chehry se na chatt par sham ko jana..
kahi koyi Eid na kar le abhi ramzan baqi hain....!!

(♥♥''Muje Tum Yad Ate''♥♥

B♥♥♥♥♥B

20 Jul 2014

Shugfta Shahdab Behad Adaab

Shugfta Shahdab Behad Adaab
Pholon Ki Mehak Aabsharon Ka Tarranum
Shabab Ka Umang, Kalion Ka Tabassam
Fizaon Main Rachi Khushboo Jaise
Sehar Angaiz Shagfoon, Dil Awez Naghmon Jaise
Bharpor Gungunate Khayal Main
Khush Kun Adain Jaise..
Khush Adaa Machalti, Gungunati, Reshmi Lehron Jaise
Haseen Yadoon Ki Jal Thal Jaise
Pur Kashish Eid Aayi Hai.
Is Dhanak Rang Mauqa Par Meri Janab Se
*Eid Mubarak*
(♥♥''Muje Tum Yad Ate''♥♥

B♥♥♥♥♥B

Pholon Ko Jis Trha Bhanwre Milte Hyn

Pholon Ko Jis Trha Bhanwre Milte Hyn
Aao Is EID Pe Hum B Kahin Milte Hyn
Apni Is Chahat Ko Pyar Bari Rafaqat Ko
Sachi Lagan Ka Rang Dete Hyn,
Dunia K Liye Apni Mohbat Ko Misal Krte Hyn
Rawani K Liye Jese Darya Samandar Me Khud Ko Pamal Krte Hyn
Phool Jese Gulshan Se Wafa Nibane Hr Bar Nikalte Hyn
Aao Is EID pe Hum B Kahin Milte Hyn...!!
(♥♥''Muje Tum Yad Ate''♥♥

B♥♥♥♥♥B

Kitni Eidain Guzar Gai Tum Bin,

Kitni Eidain Guzar Gai Tum Bin,
Ab Khuda Kay Liye Na Tarpana,
Dekho Phir Eid Anay Wali Hai,
Eid Kay Sath Tum Bhi Ajana..!!
(♥♥''Muje Tum Yad Ate''♥♥


B♥♥♥♥♥B

Eid ka din hai, har tarf hai gehma gehmi,

Eid ka din hai, har tarf hai gehma gehmi,
Aana chahoon jo tere pass to aaon kese,
Meri har saans amanat hai teri yaadon ki,
Toot ke is se zeyada tujhe chahoon kese..!!
(♥♥''Muje Tum Yad Ate''♥♥



B♥♥♥♥♥B

18 Jul 2014

Ab ke baras jab chand nikla ga

Ab ke baras jab chand nikla ga 
ab ke baras jab eid ho gi
sarii dunia to chand ko dekha gi 
kia hamain tumhari deed ho gi?
tum bhi chhat per aa ga na
chand ko dekh ka chali jana
tumhari bhi eid ho gi 
hamari bhi eid ho gi
ab wo bhi wakat karib hai 
jab wo meray sang ho gi
main apna chand ko dekhon ga
wo apna chand ko dekha gi 
us ki bhi eid ho gi
meri bhi eid ho gi
ab ke baras jab chand nikla ga 
ab ke baras jab eid ho gi...!!



(♥♥''Muje Tum Yad Ate''♥♥


B♥♥♥♥♥B

Eid ab ke baras nahee aai...!!

Hai wohi aasman zameen wohi
Maah o anjum ussi tarah roshan
Kehkashaan ab bhi muskuraati hai
Phool kaleyaan mehak rahi hain yonhi
Baad muddat ke saray pardesi
Apne apne gharon ko aaye hain
Har taraf rang-o-boo ka mela hai
Aur tanha mein apne kamre mein
Kab se bethi hoon aur soch rahi hoon
Jaanay kya baat hai ke ghar mein mere
Jo guzashta baras thee raunaq
Ab woh kaheen bhi nazar nahee aati
Hai fiza mein ek ajeeb sa sannatta
Haan faqat ek tere  jaanay se
Aisa mehsoos ho raha hai mujhe
Rutt khushi ki har taraf  aai hai
Sirf chhote se mere aangan mein
Eid ab ke baras nahee aai...!!

(♥♥''Muje Tum Yad Ate''♥♥


B♥♥♥♥♥B

Kyun nhi milti gale sey terey Naaz

Kyun nhi milti gale sey terey Naaz
Eid kyaa ab ke bhii khaali jaegi..!!
(♥♥''Muje Tum Yad Ate''♥♥


B♥♥♥♥♥B

Chiragh Dil Ke Jalao Ke EID Ka Din Hai

Chiragh Dil Ke Jalao Ke EID Ka Din Hai
Taraney Jhoom Ke Gao Ke EID Ka Din Hai

Ghamon Ko Dil Se Bhulao Ke EID Ka Din Hai
Khushi Se Bazm Sajao Ke EID Ka Din Hai

Hazoor Us Ke Karo Ab Salamti Ki Dua
Sar-E-Namaz Jhukao Ke EID Ka Din Hai

Sab Hi Murad Ho Puri Har Ik Sawali Ki
Dua Ko Hath Se Uthao Ke EID Ka Din Hai..!!

(♥♥''Muje Tum Yad Ate''♥♥


B♥♥♥♥♥B

Suna To Hai Ke Wo Aaye Ga Eid Par Milne,

Suna To Hai Ke Wo Aaye Ga Eid Par Milne, 
Agar Ye Sach Hai To Phir Eid Hum Mana Layn Ge…

(♥♥''Muje Tum Yad Ate''♥♥

B♥♥♥♥♥B

Har Baar Ki Tarha Is Baar Bhi Aansu Bahaoon Ga

Har Baar Ki Tarha Is Baar Bhi Aansu Bahaoon Ga
Tum Mujh Say Door Ho ToO Main Kesey Ye EID Manaoon Ga,


Ik Taraf EID Ki KhuShi Aur Ik Taraf Tera Gham
Chorri Hai Baat Tum Pay Tum Hi Jano,

Main Apne Andar K Zakham Kisi Ko Na DiKhaoon Ga
Sarapa Choor Hoon Ghamon Se ToO Kya Hua Sanam,

Main Mar ToO Sakta Hoon Magar Sar Ko Na Jhukaoon Ga
Kab Saz Tarasti Hain Nigahein Tujhe Dekhnay Ko,

Lout Ao Ek Baar Phir, Is Baar Main Tum Ko Na Sataoon Ga,
Abhi Tak Yaad Hain Mujh Ko Wo Teri Kahi Hui Baatein,

Main Ja ToO Raha Hoon Magar Wapis Na Aaoon Ga
Ek Bar Lout Aao ... Hai Yehi Faryaad Tum Say,

Main Nay Khai Hai Qasam K Tere Dar Pay Na Aaoon Ga
Tum Mujh Say Door Ho Batao Main Kesey Ye EID Manaoon Ga..!!

(♥♥''Muje Tum Yad Ate''♥♥

B♥♥♥♥♥B

Har Eid Par Mujh Se Kehta He

Har Eid Par Mujh Se Kehta He
'Ajnabi'surkh Jora Pehanna
Mein Eid Par Aoon Ga
Aur Har Baar Kayee Bahane Bana Deta He
Har Baar Mujhe Khushiyon Ka Shinghaar Karvata He 
Or Phir Har Bar Ghamon Ka Libaas Pehna Deta He
Peron Mein Umeed Ki Pazeib Pehna Kar
Phir Khud Hi Is K Ghungroo Chaar Su Bikheir Deta He
Akele Hi Na Eid Guzaar Lena Mera Intazar Karna
Mujhe Rahon Mein Sajaa Kar Khud Eid Tanha Hi Guzaar Deta He
Is Baar To Pakka Vadda Mein Aoon Ga
Har Baar Yaqeen Dila Kar Har Bar Tor Deta He
Tum Churiyan Na Pehanna Mein Kangan Laoon Ga
Meri In Suni Baahon Ko Har Baar Suna Hi Rehne Deta He
Har Chaand Raat Pe Mujhe Dhoke Se Jagata He
Or Har Eid Pe Mujhe Phir Se Maar Deta He
Barass Guzar Gaye Mujhe Yun Jaagte Or Marte
Vo Zalim Q Har Saal Meri Zindagi Ko Yun Dhoka Deta He
Har Eid Par
Mera Intazar Karna Mera Intazar Karna..!!


(♥♥''Muje Tum Yad Ate''♥♥


B♥♥♥♥♥B

Eid jab bhi ati hain to milney ka imkan rehta hain

Eid jab bhi ati hain to milney ka imkan rehta hain
Mil ke keya kahain ge soch ke dil♥ pareshan rehta hain..!

(♥♥''Muje Tum Yad Ate''♥♥

B♥♥♥♥♥B

16 Jul 2014

Yeh EiD Sanam Teri Judai Mein Guzar Jaye Gi,

Yeh EiD Sanam Teri Judai Mein Guzar Jaye Gi,
Baat Khanjar Si DiL Mein Utar Jaye Gi,
Phoot Nikly Ga Aankhon Mein Selab_E_Gham,
Bebasi Phir Liye Dar Badar Jaye Gi,
Toot Jaye Ga Jab Ishq Ka Sab
Bharam,
Arzoo Seene Mein Kat K Mar Jaye Gi,
Log Pochein Gy Youn Bicharny Ka Sabab,

Har Gali Mein Jo Apni Khabar Jaye Gi,
Chand Nazron Sy Posheda Ho Jaye Ga,
Zulf Rukh Peh Pareshan Bikhar Jaye Gi,
Sochta Tha Tumhary Haseen Sath Mein

Zindagi Ek Din Phir Sudhar Jaye Gi,
Door Tak Hon Gy Aryaan Toofan_E_Gham
Jahan Tak Tumhari Nazar Jaye Gi,
Yeh EiD Sanam Teri Judai Mein Guzar Jaye Gi ..!!

(♥♥''Muje Tum Yad Ate''♥♥


B♥♥♥♥♥B

♥♥ Eid ka me kyun chand Daikhne lagi hon ♥♥

♥♥ Eid ka me kyun chand Daikhne lagi hon ♥♥
♥♥ Tere Bina Me Kyun Sanwrne LaGi HoN ♥♥
♥♥ LoGoN K To Sath HeN Un K SaJaN ♥♥
♥♥ Me BiN SaJaN Kyun Nikharne Lagi HoN ♥♥
♥♥ Ye Eid Bhi To Soni Hy Mairi Jaisi ♥♥
♥♥ Phir Kyun Hathon Pe Mehndi Rachane Lagi Hon ♥♥
♥♥ Ay Eid K Chand Me Ab To Tumhe Daikhon gi ♥
♥♥ Apne Piya K Lotne Ka Sun'ne Lagi Hon ♥♥
♥♥ Suna Hy Lotega Maira Piya Is Eid Pe ♥♥
♥♥ Tb To Me Laal Jorhe Me Sanwrne Lagi Hon ♥♥
♥♥ Eid Ki In Khushiyon Me Hoga Wo Sang ♥♥
♥♥ Tabhi To Me Ghar Ko Sajane Lagi Hon ♥♥
♥♥ Wada Tha Is Eid Pe Lout Aane ka ♥♥
♥♥ Is Umeed Pe Me Raah Ko Daikhne Lagi Hon ♥♥
♥♥ Eid Pe Mujhe Bs Taira Piyar Chahye Jaanaa 
♥♥ Ye Eid Me Tere Naam Karne Lagi Hon ♥♥
♥♥ Daikhti Hi Piya Ko Chaand Daikh liya ♥♥
♥♥ Me To Eid Se Pehle Eid Karne Lagi Hon..!!♥♥


(♥♥''Muje Tum Yad Ate''♥♥


B♥♥♥♥♥B

Ye Eid Bhi Tanha Beetey Gi.

Ye Eid Bhi Tanha Beetey Gi.Main Sh0r Machaon Ga Lekin,Main Khud K0 Rulaon Ga Lekin,
Na K0i Suney Ga Cheekh Meri.
Na MuJh K0 K0i Hansaye Ga,
Meri Qismat Dil K0 Peettey Gi,
Ye Eid Bhi Tanha Beety Gi,

Sab Galey Milen Ge Khushiun Se,
Sab Khushiyan Khoob Manayen Gy,
Hum Beth K Phir Tanhai Mein,
Bus Aansu Khoob Bahayen Gy,
Mera Daaman Khushi Na Seenchy Gi,
Ye Eid Bhi Tanha Beety Gi,


Bus Ghum Rehte Hain Paas Mere,
Main Ghamoo'n K Paas Hi Rehta Hoon,
J0 Loat K Aana BhooL Gaya,
Usey EID Mubarak Kehta Hoon,
R0 R0 K Magar Haan Beety Gi,
Ye Eid Bhi Tanha Beety Gi...!!


(♥♥''Muje Tum Yad Ate''♥♥


B♥♥♥♥♥B

Eid K Chaand Ki Manand Howa Hai Ab To..

Eid K Chaand Ki Manand Howa Hai Ab To..
Hye Wo Shakhs Jo Roz Mila Krta Tha..!!!

(♥♥''Muje Tum Yad Ate''♥♥


B♥♥♥♥♥B

Phir Aa Rahi Eid Wo Daikho Chaand Eid Ka.

Phir Aa Rahi Eid Wo Daikho Chaand Eid Ka.
Roti In Aankhon Ko Intzar Hy Tairi Deed Ka.

Aao K Mil Kar Baantein Khushiyan Eid Ki.
Eid Hy Paigham Deed Ka.

Wohi Ujrra Aur Veeran Ghar Hy Mera.
Muntzar Hy Jo Tere Lotny Ki Naveed Ka.

Lout Aao Is Eid Py Gar Tum Jaana'N.
Mehak Uthy Phool Chaman-E-Khusheed Ka.

AjNabi Nahin Hum An-Jany Nahin.
By-Rukha Hy Kiun Andaz Tera Guffat-O-
Shuneed Ka.

Sun Kar Iltja ZafaR Ki Aa Bhi Jao.
Eid Hy Din Ahad-E-Wafa-O-Tehmeed Ka. 


(♥♥''Muje Tum Yad Ate''♥♥


B♥♥♥♥♥B
111111111111111111111111111111111111111111111111