Ghazlon ka hunar apni aankhon ko sikhayenge,
royenge bahut lekin aansoo nahin aayenge.

Keh dena samandar se hum oss ke moti hain,
dariya ki tarah tujh se milne nahin aayenge.

Woh dhoop ke chhappar hon ya chhaaon ki deewaaren,
ab jo bhi uthaayenge mil-jul ke uthaayenge.

Jab saath na de koi aawaaz humein dena,
hum phool sahi lekin patthar bhi uthaayenge. !!

No comments:
Post a Comment