MUJAY TUM BOHT YAD AATE HO


15 Dec 2014

Mujhay tum yaad Aatay ho……..

Mujhay tum yaad Aatay ho……..
kisi sunsan sapnay may chupee khawahish ke hidat may
kisi musrofiat kay moor par Tanhai kay sehraaoon may

ya phir kisi anjan beemare ke shidat may
mujhay tum yaad atay ho………..
kisi bicharay huay ki chasm purnam kay nazaray par
kisi beetay huay din ke thakan ke Ooat say
ya phir tumharay zikrr may guzare hue shab kay isharay par

kisi bastee ke baronaq sarak par
Aur kisi darya , kisi veeran jungle kay kinaaray par
mujhay tum yaad aatay ho……………. maire chup kay kuwain may
aarzooyon kay badan jab tairtay hain
aur kinaray say koi bolay to lagta hai ajal awaz dayte hai
maire baichainiyon may jab tumhare tundkho ranjish khatakte hai
tumhare bedoore sulagtee hai
ya phir jab maire ankhon kay sehra may

tumhare yaad ke tasveer jaltee hai, judai haat maltee hai
mujhay tum yaad atay ho…………..

mujhay tum yaad atay ho…………..
muqadar kay sitaroon par zamano kay isharoon par
udasee kay kinaron par
kabhe veeran shehroon may kabhe sunsaan rastoon par
kabhe hairaan ankhon may kabhe bayjaan lamhoon par
tumhari yaad chup k se koi sargoshi karti hy
yh palkain bheeg jati hain to ansu toot girty hain
hum palkon ko jhukaty hain bazahir muskuraty hain
fakat itna hi kehty hain..... mujhy kitna sataty ho
mujhay tum yaad atay ho…………..
mujhay tum yaad atay ho…………..
suhaane shaam ho koi kahen badnaam ho koi
bhalay gulfam ho koi kisee kay naam ho koi
mujhay tum yaad atay ho……… kahen barish baras jaey
kahen sehra taras jaey kahen kaalee ghata utray
kahen bad-e-saba tehray
tumharay aur mairay darmiyan Aakay Khuda tehray 
to maire zindage kay awal-o-akhir tum is lamhay
khuda kay bad Aatay ho………..
mujhay tum yaad atay ho………..


 G'''muje tum yad ate hon'''G


B♥♥♥♥♥B

No comments:

Post a Comment

111111111111111111111111111111111111111111111111