MUJAY TUM BOHT YAD AATE HO


10 Apr 2014

Ek BACHPAN ka Zamana tha,

Ek BACHPAN ka Zamana tha,
jisme Khushiyo ka khazana tha.

Chahat Chaand ko pane ki thi,
par DIL titli ka Diwana tha.

Khabar na thi kuch Subah ki,
Na Shaam ka thikana tha.

Thak-har ke aana school se,
Par khelne bhi jana tha.

Maa ki kahani thi,
Pariyo ka fasana tha.

Barish me kagaz ki naav thi,
Har Mausam suhana tha.
Har khel me Sathi the,
Har Rishta nibhana tha.

Gam ki zuban na hoti thi,
Na zakhmo ka paimana tha.

Rone ki wajah na thi,
Na hasne ka bahana tha.

Kyon Ho gaye hum itne bade,
isse achha toh..

"Wo Bachpan ka Zamana tha".



B♥♥♥♥♥B

No comments:

Post a Comment

111111111111111111111111111111111111111111111111