MUJAY TUM BOHT YAD AATE HO


26 Sept 2014

ZINDAGIkai be qaraar ansu

ZINDAGIkai be qaraar ansu
aankhon se beh nikle hain
aj kya hua hai mujh ko?
is tarha se pehle to main kabhi na toota tha
is safar e ZINDAGI main kai mor dekhe thy
kai dard k lamhe,kai soog ki raaten
kai roog ki baaten
hans k hum ne seh li thin
aankhen tab bhi chup thin
dil garcha toota tha
phir !!
aj kya hua hai mujh ko?
is tarha to pehle main kabhi na toota tha
per tab ki baat aur thi shayed
" Ab k khwab toota hai"
mudaton jise maine aankhon main basaya tha
haan! mera wohi sapna
mujh se aaj chuta hai
tab ki baat aur thi shayed
"Ab k khwab toota hai" 


 G'''muje tum yad ate hon'''H
 



B♥♥♥♥♥B

No comments:

Post a Comment

111111111111111111111111111111111111111111111111