Har ek zakhm ka chehra gulab jaisa hai
magar ye jagta manzar bhi khwab jaisa hai
ye talkh talkh sa lehja ye tez tez si baat
mizaj-e-yaar ka aalam sharab jaisa hai
mera sukhan bhi chaman dar chaman shufaq ki phuwaar
tera badan bhi mehektay gulab jaisa hai
bara taweel nehaayat haseen bohat mubham
mera sawaal tumhare jawab jaisa hai
tu zindagi ke haqaiq ki teh mein yu'n na utar
ke is nadi ka bahao chanab jaisa hai
teri nazar hi nahi harf-e-aashna warna
har ek chehra yahaan pe kitaab jaisa hai
chamak uthay to samandar bujhay to ret ki leher
mere khayaal ka darya saraab jaisa hai
tere qreeb bhi reh kar na paa sakoon tujhko
tere khayaal ka jalwa habaab jaisa hai...!!
G'''muje tum yad ate hon'''G
No comments:
Post a Comment