Hijr ki aankho'n ke sab manzar December,
Iss calendar mei'n hai saalo'n-bhar
December.
Dhoop ki titlee ke peechhe daurhta hai,
Chhote bachcho'n ki tarah chhat per December.
Barf-baari hai toh kya ,? mahfooz hai dil,
Uss-ki khamoshi se hai behtar December.
In nazaaro'n mei'n chhupa hoo'n,mujh-ko dhoondo!
Barf, khaab, aawaz, aansoo, darr,
December.
Shaam naaranji dukho'n ki phir khadi hai,
Har naye ghum ka puraana ghar
December..!!

No comments:
Post a Comment