kabhi hum bhi khoobsurat thay
kitaabon main basee khushboo ki maanind
saans saakin thi
bohot se an-kahey lafzon se tasveerein banaatey thay
kabhi hum bhi khoobsurat thay
parindon k paron pr nazm likh kr
door ki jheelon main basney waaley logon ko
sunaatey thay
jo hum se door thay lekin
hamarey paas rehtey thay
naye din ki rifaaqat jab kiran k sath
aangan main utarti thi
to hum kehtey thay
ammi .. !! titliyon k par bohot hi khoobsurat hain
humein maathay pe bossa do
k hum ko titliyon k, jugnuon k days jaana hai
humein rangon k jugnoo, roshni ki titliyaan aawaaz deyti hain
naye din ki musaafat rang main doobi hawa k sath
khirrki se bulaati hai

No comments:
Post a Comment