Wohi raaton ki bedaari hai ab tak,
Tamanna ka safar jaari hai ab tak.
Khyal-e zabt aur tark-e talluq,
Yehi patthar bahut bhaari hai ab tak.
Akeli chandni raaton mein dil ko,
Sulag uthne ki beemaari hai ab tak.
Abhi pichhle dino jo hum pe guzri,
Usi rutt ka nasha taari hai ab tak.
Main hijrat kar toh lun chaman se
Par parindon se meri yaari hai ab tak..
Tamanna ka safar jaari hai ab tak.
Khyal-e zabt aur tark-e talluq,
Yehi patthar bahut bhaari hai ab tak.
Akeli chandni raaton mein dil ko,
Sulag uthne ki beemaari hai ab tak.
Abhi pichhle dino jo hum pe guzri,
Usi rutt ka nasha taari hai ab tak.
Main hijrat kar toh lun chaman se
Par parindon se meri yaari hai ab tak..
No comments:
Post a Comment