E bacchpan,
Kuch der aur, bas kuch pal aur..
Yaad nahi hume,
woh suhani si mehak
girti thi jab zameen par
barish ki boondein tapak-tapak
woh khil-khilati hasi bhi
ab tho parai si lage
E bachpan, hai yeh arz choti
zindagi ka sabab, phir sikha de hume
E bacchpan,
Kuch der aur, bas kuch pal aur..
saath de humaara, sang reh hamare
Door tak dikhne wali kacchi sadak
nanhe kadam aasaani se tai kar aati
dhool, mitti, kankad ka dhyaan kisi?
Sang the jab, kadam se kadam milate saathi
khel khud mein hokar masroor
Sab se ho jate bekhabar..
Raat ko ghar laut kar karna,
agle din ka intezaar, be sabar
Doston se na to narazgi,
na hoton pe koi shikayat
kaise ho sakti hai itni pak,
woh bachpan ki unchui inayat
E Bacchpan, zara kuch der saath de, kuch door hi sahi
Saath chal hamaare
Bin dastak, darwaaza khol dena,
doston ki pehchan lena aahat..
woh pal hai phir jeena
bas itni si hai chahat
Naazuk kande uta lete bari tokri..
nani ke kahaniyon ki,
ma ki pyaari baaton ki,
papa ke aadarshon ki,
teacher ke sikhaye paat ke,
doston ke chutkulon ki..
Kabhi na paya inhe bhoj,
Ab tho badal chuki hai apni soch,
nikhal pade hai sab,karne paison ki khoj...
No comments:
Post a Comment